Jo Mujh Se Poocha Hai Aaj Tum Ne
Ke Main Tumhara Hoon Kya Batao
Tau Khud Hii Socho Tum Aik Pal Ko
Bhala Main Kaise Tumhain Bataoon
Hai Tum Se Mera Wohi Taalluk
... Jo Apne Saey Se Hai Shajar Ka
Jo Khurshid Se Hai Qamar Ka
Gulon Se Hota Hai Jo Mehak Ka
Kissi Kii Aankhon Ke Masst Dauron Se
Uss Ke Mehboob Ki Jhalak Ka
Main Hoon Badan Tau Tum Iss Kii Jaan Ho
Bahar Mausam Ke Tarjumaan Ho
Lahoo Kii Soorat Meri Ragon Mein
Herr Aik Lamha Rawan Dawan Ho
Namaz Hoon Mein Tau Tum Aazaan Ho
Zamin Hoon Main Tum Aasmaan Ho
Wahi Taalluk Hai Tum Se Mera
Jo Dil Se Hota Hai Dharknon Ka
Khumar Se Jo MehKashon Ka
Jo Shaeron Se Mehvashon Ka
Jo Husn Walon Se Dil Jalon Ka
Wohi Jo Sagar Se Sahilon Ka
Jo Rooh Se Hai Kissi Badan Ka
Hai Guftagoo Se Kissi Dahan Ka
Jo Baarishon Ka Zamin Se Hai
Ibaadaton Ka Jabin Se Hai
Wohi Taalluk Apne Darmiyan Hai
Tumi Baharon Ki Dilkashi Ho
Tumhi Tau Aankhon Ki Roshni Ho
"Jo Sach Kahon Tum Meri Kushi Ho"
Tumi Ujaala Tumhi Saba Ho
Tumhi Aarzoo Tumhi Wafa Ho
Tamam Jazbon Kii Intiha Ho
Tau Kyon Naa Tum Pe Yeh Dil Fida Ho
Batao Jaana Hai Itna Kaafi!!!
Ke Aur Bhii Tumhain Kuch Bataaon???
Jo Ho Sake Tau Khayal Rakhna
Tumhara Mujh Se Wohi Hai Rishta
Malaika Se Jo Bandgi Ka
Jo Marne Wale Se Zindigi Ka
Samandaron Se jo Seep Ka Hai
Wohi Jo Aankhon Ka Deep Se Hai!!!
No comments:
Post a Comment