Chat

video chat provided by Tinychat
Showing posts with label Urdu Ghazals SMS. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazals SMS. Show all posts

Tuesday, 28 May 2013

Tumhari Yeh Shrarat Aj Tak Naqsh Hai Dharkan Par

Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Bahut Mushkil Hai Meri Jan Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tu Ne Dobara Zindagi Bakhshi
To Bas Itni Guzarish Hai Mujhy Pathar Bana Dena

Main Zehni Tor Par Khud Ko Zara Tayyar Kar Loon Gi
Bichar Jany Se Kuch Pehlay Mujhay Humdum Bata Dena

Tumhari Yeh Shrarat Aj Tak Naqsh Hai Dharkan Par
Daby Paaon Chaly Ana,Mera Jhumka Hila Dena

Phir Is Ke Baad Jis Ke Pass Bhi Tum Jao,Ijazat Hai
Mujhy Ik Baar Apny Naam Ki Mehandi Laga Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na,Mujhy Kuch Roshnee De Do
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha,Meri Basti Jala Dena

Jisay Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskuraty Thy
Mujhy Kaghaz Ki Wo Kashti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takney Se Acha Hai
Ke Tum Jany Se Kuch Pehly Meri Ankhein Bhuja Dena

Tumhein Is Bar Khat Mein Faqat Yeh Bat Likhni Hai
Ke Sawan Laut Aya Hai,Mujhy Jhoola Jhula Dena!

Tuesday, 22 January 2013

GHAZAL-Jane q zindagi ab shera lagti hai,


GHZAL

Jane q zindagi ab shera lagti hai,
Saans b lon tu zakham ko hawa lagti hai,
Q har baat ki tasseri mujh par ulti hai,
Koi dua b dae to bad-dua lagti hai,
Jeene ki tamna nai mujhko zara b,
Saans lena b ab tu ak saza lagti hai,
Apne dil ka hal suonao b tu kise,
Jab sari duniya hi mujko bewafa lagti hai,
Koi marham nai milta mere dard ka mujhko,
Ab tu bs mout hi mere zakhmo ki dawa lagti hai..

Sunday, 20 January 2013

GHAZAL



"GHAZAL"

Aisa nahi k tujh se mohabbat nahi hamein,

ghum roz roz sehne ki aadat nahi hamein,

har bar tere saamne sar ko jhuka liya,

or phir bhi dekh tujh se shikayat nahi hamein,

tujh par aitabar kar k tujhe chahte hain hum,

tere siwa kisi ki bhi chahat nahi hamein,

hum jante hain k to bhi he tanha mere bin,

oron se pochne ki zarorat nahi hamein,

to katal bhi kare ga to aayenge tere paas,

dekh tere bagair rehne ki aadat nai hume..
pardeep

Apna ghar, apna gaon, apne log


Apna ghar, apna gaon, apne log
inki keemat, toh, wo pardeshi jaante hain,
Choot gayi rozi roti ki talaash me,
Sarzami jinki darbadar ho,
Banatey hai ghonsla kisi or saakh pe.
Par kya itnaa aasaan hota hai,
pardesh me ghar basaanaa.
Takleef toh wo hi jaanta hai
Choota hai jiska ghar gaon.
khuda tujhe mai nahi maanta.
Par fir bhi ek iltiza tujhse
Sab ko de roti apne hi gaon me .

Saturday, 19 January 2013

Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi


Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi
Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi
Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir
Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi
Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera
Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi
Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein
Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi
Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari
Wo Meherbaan ho Zafar to samjho Ghazal hoi

Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe


Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe
Bahut Himmat Afzai Ki Hai Jis Ke Liye Mai
Aap Ki Bahut Shukar Guzar Hoon.Aap Ki Bazm Me
Mai Aaj Sajid Sahab Ki Ghazal Lai Hon ummed Ke Pasand Aaye gi…
Beautiful Ghazal:Teer Chahiye Nahi..
Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye
Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye
Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye
Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye
Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye
Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye
Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar Chahiye
Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye
Meri yehi Dua Hai Shifayab Hon Sabhi
Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye
Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me
Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye…
Shayar:Aitebar Sajid
Zindagi Maout Ki Amanath hai
Zindagi ko sanbhal ke rakhiye