Yaad aati hai to zara kho jaate hai , AAnshu aankhon main utar aaye to zara ro lete hai ,, Neend to nahi aati aankhon main lekin , Wo khawabon main aayenge yahi soch kar so lete hai ..
Yaad kisi ko karna ye baat nahi jataane ki , Dil pe chot dena aadat hai zamane ki ,, Hum aapko bilkul nahi yaad karte , Kyonki yaad kisi ko karna nishani hai bhool jane ki …
Tumse doori ka ahsaas sataane laga, Tere saath gujara har lamha yaad aane laga, Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki ae dost, Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga…
Khwaab aankhon se gire aansu me dhal kar, Dam armaano ne toda dam machal-machal kar, Meri kismat me judaai likhi thi, Warna har kadam rakha tha sambhaal-sambhaal kar…
Jab Jab Mein Leta Hoon Saans Tu Yaad Aati Hai, Meri Har Ek Saans Mein Teri Khushbu Bas Jaati Hai, Kaise Kahu Tere Bina Mein Jinda Hoon, Kyunki Har Saans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai…
Chale gaye ho dur kuch pal ke liye, Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye, Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye, Jab dil me ho aap harpal ke liye…
Tujhse doori ka ehsas satane laga, Tere sath gujra har lamha yaad aane laga, Jab bhi koshish ki tujhe bhulne ki ae mere hamdum… Tu aur jyada dil ke kareeb aane laga….