Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain Mairay hontoon ki larzish mai wafaien raqs karti hain
Mujhay wo lakh tarpaye magr us shaksh ki khatir Mairay dil k andheron mai duaien raqs karti hain Ussay kehna k loat aaye sulagti shaam say pehlay Kisi ki khushk ankhoon mai sada'ain raqs karti hain
Utarta hoon jab kabhi kitabo k samundar mai Khawabeeda chehray ki ada’ain raqs karti hain
Khuda janay kon si kashish hai teri yadoon mai Tera zikr chairoon to hawa’ain raqs karti hain